Wednesday, October 27, 2010

'दर्द'! तुझको पनाह देने को एक दिल था उसे भी दे डाला


I am ordinary. Beyond doubt, am just another human having heart inside. But i wonder, why am I here. What value do i add to this lovely blue planet called earth.
                      The music of life plays a tune. I am a node in that tune. This music started way before I can think of. This music will continue way after I can think of. I know,am lucky to have heard this music. I know, am lucky to understand this music. 
                       Life is more than we think it is. It is a poetry written in the language only few of us understand, and still fewer appreciate. I seek to understand that tone. I live to know the meaning of my note. I live to discover and enjoy the ultimate design of the nature.
                      Everything tells me that i'm about to make a wrong decision, but making mistakes is just part of life. What does the world want of me? Does it want me to take no risks, to go back where i came from because i don't have courage to say 'yes' to life? And if nothing belongs to me, then there's no point 2 waste my time looking after things that aren't mine; it's best to live as if today were the first (or last) day of my life.



                     On the road to knowledge, at times you feel lonely. For there are not many who choose what you choose to see. But always remember, the destination you seek is no ordinary and you may have to make some sacrifices. But when you finally reach there, you will know, you were not alone. That many have taken this path and many have come here. That quest for knowledge and free enquiry is the ultimate human reason. ....Keep walking....!! Neither a slumdog nor a millionaire. A balanced equation of electrons, protons and neutrons. I exist because of random collisions and chances which led to our species.Made from the elements which once were stars, resident of the cosmos, and in search of intelligence.
                               
                  An independent guy who always try to live his life on his own terms & condition and cherishes each moment as much as anyone can..... he spends to make each one a memorable one.Life is short... so enjoy every moment...

bcoz there is no more space n time for other things .



**********************************************



**********************************************






Siddat se chaho agar mil jata hai rab bhi...

dhoondo us raaste ko jis ki nahin koi manzil...

kahin se bhi chalo tum kabhi khatam nahin hogi talaash is ki..

hai aarzoo kuch pane ki par sab kuch ho ke bhi kabhi pyaas nahinbhujati.



*******************************************



zindagi se kiya shikwa bahut,

ab zindagi ko jeene ki chahat hai

gum ke samunder mein bheege bahut,

ab barish mein bheegne ki chahat hai.

aksar khoya hum ne bahut,

aaj dil mein kuch pane ki chahat hai.

dushmain mile har raah pe,

par aaj dost ko zindagi mein lane ki chahat hai.

ruk si gayi thi zindagi,

aaj phir is ki raftar mein shamil hone ki chahat hai.



***************************************





waqt bewaqt yaad jab aaye koi,

waqt bewaqt hi humse nazrein churaye koi,

ek zara aahat se hamare hosh udaye koi,

kisi ko chain mila agar to yahan chain gavaye koi,

har pal nami jo deta raha aaj kahe hamare liye muskuraye koi....






****************************************



Bheege lamho ki ravani hai zindagi

kabhi ashkon se behta pani hai zindagi

kabhi ban ke dard ki ghata

aasman pe chayi hai zindagi

kabhi ban ke badli baras aayi hai zindagi

kabhi ban ke ehsaas dhakanon ka

dil mein samayi hai zindagi



*****************************************



teri masoomiyat pe main qurbaan ho jayun

tu har mukam kare hasil main to bas yehi chahun

na is ko samjhana tum aaise hi hai yeh mere dil ke aarman

milte nahin lehron se kinare kabhi lekin phir bhi ek duje se hai un kipehchaan



****************************************



aur tum pooche ho na shayar kaise banta hai koi to suno.

jab dard dil mein badh jaye jab dost baaghi ban jaye

jab dimak ki tarah ho jaye khokle ehsaas

jab na rahe khud pe aitbaar

jab kagaz ke tukde raaz ban jaye

jab apni haqeeqat khud badal jaye

tab yeh ehsaas hota hai ki hum shyar ban gaye



*******************************************



Baarish ki boondon mein bhi hai zindagi

boond boond barse jaise barse koi khushi

badlon ki aadh mein chup gaya hai chand bhi

kho gayi ho is badli mein jaise yeh haseen raat bhi

jhoom ke gaye jab yeh badal barase aaise pani

sawaan ki kuch boondon se khil jaye har pati pati khil jaye har daali

*****************************************

yeh to abhi aagaaz hai jane kahan le jayein kadam,
chalna to hoga humein magar chahe mile na humein woh dagar.
parvaah kiya bina anjaam ki hum ne kar na hai tai woh safar,
jis mein kaante hi kaante biche shayad khil jaye koi phool magar.

******************************

phoolon pe jaise shabnam bichi ho
mehka de khushboo se ye apni chaman ko
fizayon mein lehra de aanchal to
kar de madhosh gagan ko

******************************

rog sanu pyar wale la gaya meet kyon
de ke vichora umar bhar da nibha gaya bewafai wali reet oh
kyon sab ho gya khatam ki bhool gaya pyar wali preet oh

********************************************


siddat se chaho agar mil jata hai rab bhi
dhoondo us raaste ko jis ki nahin koi manzil
kahin se bhi chalo tum kabhi khatam nahin hogi talaash is ki
hai aarzoo kuch pane ki par sab kuch ho ke bhi kabhi pyaasi nahin bhujati


**************************************************

mere labon pe na aayein woh alfaaz
jin se kisa ka dil jale
woh bhi to insaan hai meri tarah
nahin hai khuda woh jo mera naseeb badle
tum na bhoolana kabhi woh manjar
jo sirf khawabon mein dekhe par na kabhi haqeeqat mein dhale
hai yeh sach duniya ka aaye bhi akele
jana bhi ho ke ruksat is duniya se akele
sheedat se yaad karo us ko
jin se kabhi tum ko gum mile


*********************************************

chup jane do chand ko badlon mein
ghir jane do aaj raat ki bahon mein
is ki kashish se aati hain muskurahat
chandani ke labon pe
ho yuen na tham jane do is ehsaas ko
sitaron se mehfill ko ho do roshan
mit jane do chand ki is talaash ko


********************************************

dosti hai ek aaisa nagma jis ko gunganana to chahun
par kyon jane is nagme ko sargam main bana na payun.
labon tak aayein jab alfaaz is ke to jaane kyon khamosh ho jayun
kaise mein dosti ke is ehsaas ko dil mein chupayun
nahin dosti bejaan mere liye dost ka bh

arosa khone se pehle main mit jayun



*****************************



meri hai yeh sarzameen nera hai yeh watan
mere watan ke har zarre mein hai chupa apnapan
phoolon ki khushboo se mehkata hai yeh gulistan
ae watan mere tujh ko hai mera salaam
tere liye hai meri zindagi tere liye hai sab kuch qurbaan
ae mere watan tujh mein basti hai meri jaan


*******************************



satta ki deewani hai yeh duniya saari
satta ko pana hai to pehle dekhayo apni wafadari
bade bade karte hain wade ban ke neta hamare
sab se pehle mitayo desh se bhookhmari aur bekari
nahin hoga desh ka vikas kabhi
jahan kadam kadam par bhadkati hai nafrat ki chingari



*********************************



suraj ki pehli kiran se hoga kal sawera
mere ek vote se bhi hoga bharat ka bhavishya sunehra
satta ki dorr aayegi us ke haath
jo sune dil desh ke har vasi ki pukar
wohi hogi hamare desh ki sarkaar



*****************************



kuch kehne ko alfaaz nahin
chup rehne bhikoi baat nahin
khamoshiyon ke chahe manjar
apna saaya bhi to saath nahin
sil gaye hain lab hamare
dil mein ab gaye ehsaas yuen hi


*****************************



******************************************



Toot jaaye khwab to judne ki aas kya rakhna..
palko ke bhingne ka hisaab kya rakhna...
bas isiliye muskura dete hain hum...
apni udasi se kisi ko udas kya rakhna...

2 comments: